Kuch lamhe, kuch baaten

Kuch sahmi sahmi aahen

Vo doori, vo darpan

Rukhi rukhi aashayen

Kuch minnat, kuch dhara

Muskil me ab sansara re

Muskil me ab sansara aaa

***

Band padi mahino se andar

Char pahiye ki car hai…

Khud se baaten karta banda

Ghar me bas deewar hai…

Lockdown me aadhi janta

Depression ka sikar hai

Gai jamana curfew me

Ab durdarshan laachar hai

***

Kitne aaye chale gaye

Par garmi kabhi na aaya tha

Mehnat kash ki vo dupahari

Dharti na tharraya tha

Desh ki dharti urvar hai

Kal fir se faslen aayenge

Jo dil ko bhed gaye karmi

Vo bhi utsav manayenge

***

Kuch lamhe, kuch baaten

Kuchh sahmi sahmi aahen

In vigat dino ke darshan ke

Kuch khatti mitthi baaten

Ek ladki, Ek Ladka

Kuch chauke, phir chakka

Ek pyar ki kasti aage aage

Saahil par dhoom machale, pyare

Saahil par dhoom machale ee

***

Vo mask me jati ladki se

Jab naam sihar kar poocha tha

Jab naam sihar kar poocha tha

Jab naam sihar kar poocha tha

Vo tab muskai, paas bhi aai

Boli – dekh irada kya hai?

Main socha kuch nahi bahut

Aur bola – tera style pasand hai

Mask hata de apne mukh se

Achchi wali smile pasand hai

Mask hata de mere haq se !

Phir se has de sacche dil se !

***

Usne poocha mujhse aise jhallahat se

“Atanki ho? Koi gairat nahi, Koi sharm nhi”

“Main abla nhi main nari hoon”

“Main ek visfotak kyari hoon”

***

Are nahi balike, soundarya bharti

Tere mask ke peeche saavan hai

Tera roop mujhe manbhavan hai

Na ho nirash mere arpan se

Le swaym ko dekh is darpan se

***

“Shringar bhool gai mahino se”

“Nirdesh jahan ka aisa hai”

“Main bhi ab ek paheli hoon”

“Mukh par rach di rangoli hoon”

“Tum aaye lo kuchh gyat hua”

“Mahino baad aisa sanwad hua”

“Lo tumko maaf main karti hoon”

“Ab bolo kaha chale, main chalti hoon”

***

Baaten hui, Kuch virodh hua

Anjaan mukhon ka udghosh hua

“Chal chai point par chalte hai”

Lockdown ki hai tadap bahut,

Uspaar hi madhuvat dhalte hain

***

Kuch lamhe, Kuch baaten

Kuchh sahmi sahmi aahen

Khabro ka hota tar tar

Dilbar mil jata tum sa yaar

Main deevana, woh ek paheli

Likhne baithe the hum rangoli

***

Ek pizza tha, ek burger tha

2 lite sarikhe coffee tha

Bill mujhko dene diya nahi

Aur chocolate dekar chalti bani

Telegram par dhanyad kah

Dil me woh arman jaga di

Mere sundar vaahan par

Aakar wah shringar laga di

Ye lockdown ka version hai

Jo fir se badh jata hai

Hum pyar ke panchi ghayal hain

Ye ishq hi marham lagata hai

***

Kuch lamhe, kuch baaten

Kuch sahmi sahmi aahen

Un andekhi muskano me,

Ab thamne lagi hai baahen

In prem deewani nayano ko

Ab benakab ho saasen

Kuch lamhe, kuch baaten

Kuch sahmi sahmi aahen

Kuch sahmi sahmi aahen

Ab benakab ho saasen

Ab benakab ho saasen

____________________________

Author: Prabhat Kumar

Related Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Social media & sharing icons powered by UltimatelySocial
YouTube
YouTube
LinkedIn
Share
Instagram